Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Khwajah Maudood Chishti

 

Rahmatullah Alayh

 

Aap ki wiladat ba Saadat ba muqam Chisht shareef morkha 430 Hijri ko hui. Hazrat Khwaja Qutub al Deen Modood Hazrat Khwaja Abu Yousuf  Nasir al Deen Chishti Rahmatullah Alayh ke farzand thay Khwaja Abu Yousuf  Nasir Al Deen Syed Abu Nasar Mohammad  Rahmatullah Alayh ke Farzand thay .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Khwaja Modood Chishti Rahmatullah Alayh ka zikar e kher kisi taaruf ka mohtaaj nahi, aap ke baray mein be shumaar mazameen tehreer kiye ja chuke hain. Khwaja Abu Yousuf Chishti Rahmatullah Alayh  jab 495 Hijri mein is jahan se rukhsat hue to un ke barray betay Khwaja Modood Chishti Rahmatullah Alayh  unkay khalifa aur janasheen muqarrar hue, ibtidayi taleem apne waalid mohtaram se haasil ki. Quran Majeed 7 saal ki Umar mein hifz kya. Apni taleem 16 saal ki umar mein mukammal ki, aap 29 baras ki umar mein sajadah nasheen hue aur khalq e Allah ki hadaayat mein mashgool ho gaye, aap ke mureedon ki tadaad be shumaar hai.Khufa ki tadaad das hazaar batayi jati hai, aur khaas Kulfa ki tadaad aik hazaar batayi gayi hai, Khwaja Qutub Al Deen Modood Chishti  Rahmatullah Alayh Khwaja Moueen Al Deen Chishti Rahmatullah Alayh Ajmiri ke bhi Sheikh ul Shaikh thay.Jo shakhs dili murad le kar aap ke mazaar par teen roz   jai uski murad poori ho jati hai, aap hamesha fuqra aur msakeen ke sath sohbat pasand rakhtay thay, naya kapra hargiz nahi pehantay thay .

Jo shakhs aap ki khidmat mein haazir hota  aap uskay dil ka haal mufasil bayan farma dete, aur jis ki qabar se aap guzarte uska haal bayan farma dete. Khwaja Madood Chisht ke tamam ikkabar aur Mashaikh e waqt aap ke tabay thay aur aap ki tazeem o takreem mein intahaayi koshish karte thay. Aap ne Khirqah apne waalid mohtaram Hazrat Khwaja Nasir Al Deen Abu Yousuf Rahmatullah Alayh se pehna tha .

Hazrat Khwaja Qutub Al Deen Modoodi Chishti Rahmatullah Alayh ke Khulfa ki tadaad das hazaar batayi jati hai, is se aap ke halqa rashd o hadiat  ka pata chalta hai, yahi wajah hai kay asp ka silsila e dawat is qader  wusat  inkhtiyaar kar gaya hai uskay asraat sirf  Haraat tak mehdood nah rahay, balkay daur daur ilaqon maghrib mein , Iraq , Shaam, aur Hijaz tak aur junoob mein Seestan, Balochistan , aur  Bar e Sagheer Pak o Hind tak puhancha, maghrib mein apke nazriaat ki parchaar apke Khulfa ne ki, un mein Khwaja Shareef  Zindani Rahmatullah Alayh , Khwaja Usmaan Harooni Rahmatullah Alayh  , qabil e zikar hain .

Khwaja Qutub Al Deen Modood Chishti Rahmatullah Alayh ki umar 25 baras ki thi jab apke waalid ka intqaal howa, aap ne Khirqah apne waalid se haasil kia aur apne waalid ke sachey janasheen saabit hue. Aap ne kisi Ameer ya badshah ke darwaaza par kabhi qadam nahi rakha, aap har shakhs ki tazeem o takreem karte thay, salam karne mein hamesha pehal karte thay, saada zindagi  basar karte aur saada libaas pehantay thay .

Jab Allah Taala ne Hazrat Adam ki aulaad ko duniya mein phelaya to unki tarbiyat ki bhi ashad zaroorat pari, kyunkay tarbiyat hi insaan aur hewan mein farq peda karti hai, chunancha Allah Taala ne is tarbiyat ke liye khud unhi mein se khaas insanon ko muntakhib farmaya, aur Hadayat  aasmani kitabon ki soorat mein utari, hadaayat ke pehlay darjay mein payghambaroon ko zareya binaya jin ke aakhri paighambar hamaray Nabi Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam hain, dosray darjay mein aap Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam  ke silsila ahal baet ke zariye Imameen ko muqarrar farmaya Imameen ki tadaad har fiqa e islam ke lehaaz se mukhtalif samjhi jati hai,Imameen ke sath teesra daur Aulia aur Sofia ka shuru hota hai .

Hazrat Khwaja Qutub Al Deen Modood Chishti Rahmatullah Alayh  jab Balkh puhanche to wahan ke ulma ne aap ki bari mukhalfat ki. Masla Samaa par manazra karne ke liye aik azeem ijtima howa. Is majlis mein ulmaye Balkh ne jitne sawalaat uthaye Hazrat Khwaja Qutub Al Deen Modood Chishti Rahmatullah Alayh  ne un ke jawabaat diye aur farmaya hum Hazrat Ibrahim bin Adam ki sunnat par qaim hain. Woh hamaray paiir thay aur Samaa suna karte thay. Is par ulma ne kaha kay Hazrat Ibrahim peer e kamil thay woh howa mein ura karte thay is liye un ka Samaa sunna jaiz hai magar aap aisa nahi kar saktay. Hazrat Khwaja Qutub Al Deen Modood Chishti Rahmatullah Alayh  isi waqt majlis se utthay aur taiz parinday ki terhan howa mein urrnay lagey aur ulma ki nazron se gayab ho gaye. Kuch waqt guzaarne ke baad majlis mein aa kar yun khamoshi se baith gaye kay kisi ko khabar tak nah hui. Phir asp ke anay ka majlis mein shore barpaa ho gaya. Is majlis mein do hazaar log mojood thay woh sab asp ke mureed ho gaye magar baaz ziddi ulma asaraar karte rahay kay yeh parwaaz wala kaam to baaz  jogi bhi kar lete hain. Agar jame masjid ke hoz  mein para howa pathar asp ki gawahi  day to phir hum aap ko maan lain gay. Hazrat Khwaja Qutub Al Deen Modood Chishti Rahmatullah Alayh ne pathar ki taraf ishara kya to woh pathar  asp ke paas aa kar ruk gaya. Pathar se aawaz i ae Khwaja Madood aap ki wilayat par koi shak nahi. Balkh ke ulma ne jab aap ki yeh karamat dekhi to aap ke qadmon mein gir parhe aur maffi mangi .

Jab asp ka is duniya se rukhsati ka waqt qareeb aaya to aik bara ajeeb waqay runuma howa. Khazeen tul Asfia  mein likha howa  hai kay jab asp par nazaa ka waqt taari howa to asp baar baar darwazay ki taraf dekhte jaisay kisi ke anay ka intzaar ho. Isi Isna mein aik noorani chehray wala shakhs aaya is ne asp ko  aik reshmi kapray ka tukra paish kya jis par kuch likha howa tha. Hazrat Khwaja Qutub Al Deen Modood Chishti Rahmatullah Alayh ne is kapray ko aik nazar dekha aur apni aankhon par rakha aur is daar e fani se rukhsat ho gaye .

Isi terhan likha howa hai kay jab asp ki namaz e janaza hui to is mein be shumaar log aaye jin mein Rajal se bhi log thay. Aap ki namaz e janaza teen chaar dafaa pari gayi. Jab namaz e janaza khatam hui to janazay ka taboot khud-bakhud uth gaya aur asp ki aaraam gaah ki taraf chalne laga. Is karamat ko dekh kar das hazaar ghair muslim log Musharraf  ba slam hue .

Asp is daar e fani se yakam Rajab al Murjab 525 Hijri  mein rukhsat hue. Asp ki aakhri araam gaah Chisht Afghanistan mein hai